Circle Rate aur Market Rate Mein Kya Difference Hai? – Easy Explanation
- digitalswarneem

- Nov 5
- 1 min read
Updated: Nov 6

Jab bhi aap property kharidne ya bechne jaate ho, do words aksar sunne ko milte hain — Circle Rate aur Market Rate. Dono ka relation property ke value se hai, lekin dono ka meaning aur use alag-alag hota hai. Agar aapko in dono ka farq samajh aa gaya, toh aap apni deal smartly kar paoge.
Circle Rate Kya Hota Hai?
Circle Rate (ya Ready Reckoner Rate / Guideline Value) wo minimum price hota hai jo sarkar ne kisi area ke liye fix kiya hota hai. Is rate se kam par property ki registry nahi ho sakti. Example: Agar government ne circle rate 40,000 per sq. meter fix kiya hai, toh aap 35,000 par property nahi register karwa sakte — registry hamesha 40,000 ke rate par hi hogi.
Circle Rate Ka Purpose:-
Property deals mein transparency lana.- Under-reporting (kam value dikhana) rokna.- Sarkar ko proper stamp duty & registration fee mil sake.
Market Rate Kya Hota Hai?
Market Rate wo actual price hota hai jisme property market mein bikti ya kharidi jaati hai. Ye depend karta hai demand, location, infrastructure, amenities, aur area ke development par.
Example:
Agar circle rate 40,000 per sq. meter hai, lekin property 55,000 par sell ho rahi hai, toh 55,000 hi uska market rate hai.



Comments